KHala ki manzil-e-payab ka pata bhi main
aur apne aap mein ek be-karan KHala bhi main
faza ke sine mein betab shorishen mujh se
dil-e-wajud ki ek aah-e-na-rasa bhi main
main apni shaKH-e-KHamida ka barg-e-shorida
shajar ka jism bhi main jism se juda bhi main
tere wajud ke idrak tak pahunchti hui
yaqin ki gunj bhi main wahm ki hawa bhi main
mujhi se fikr-o-nazar ke sanam-kade raushan
aur apne aap ko ab tak na pa saka bhi main
jamal-e-subh-e-sukun sham-e-iztirab ka rang
sukut-e-zard bhi main surKHi-e-sada bhi main
wara-e-fahm hai mere tazad ka aalam
ki nok-e-KHar bhi main aur barahna-pa bhi main
mere sitam ki KHarashen mere hi chehre par
awadh ki sham bhi main aur hiroshima bhi main
mere junun ke karishme meri riya ke tilism
ki wietnam bhi main aur genewa bhi main
ba-qaul-e-shair-e-mashriq main apna qatil-e-jaan
hawa-e-tund bhi main barg-e-be-nawa bhi main
zawal-e-adam-e-KHaki ki ibtida mujh se
aur us ki azmat-e-paiham ka irtiqa bhi main
mujhi ko chhu na saki 'darwin' ki hadd-e-guman
aur aaj KHalwat-e-mahtab tak rasa bhi main
mujhe to jaise wo an-dekha rasta na laga
KHala ke jada-e-manus par chala bhi main
fana ki mauj meri ruh ke makan se KHajil
asir-e-waqt bhi main waqt se wara bhi main
hisar-e-jism ke diwar-o-baam mein mahbus
hudun-e-kaun-o-makan se guzar gaya bhi main
gada-e-nutq bhi main KHaliq-e-azal ke huzur
aur apne dard ki aawaz ka KHuda bhi main
mere sharara-e-fan se hai raushni har su
aur apne shoala-e-ehsas mein jala bhi main
zaban-e-harf ki sehr-afriniyan mujh se
lab-e-KHayal ki taqrir-e-be-sada bhi main
main us ki soch ka ek shahkar bhi 'KHawar'
aur us ke shauq ka dilchasp hadisa bhi main
Ghazal
KHala ki manzil-e-payab ka pata bhi main
Rafiq Khawar Jaskani