KHala ke dasht se ab rishta apna qata karun
safar tawil hai behtar hai ghar ko lauT chalun
buland hota hai jab jab bhi shor nalon ka
KHayal aata hai dil mein ki main bhi chiKH paDun
tumhaare hote hue log kyun bhaTakte hain
kahin pe KHizr nazar aae to sawal karun
maal jo bhi ho jis tarah bhi kaTe ye umr
tumhaare naz uThaun tumhaare ranj sahun
adhuri an-kahi be-rabt dastan-e-hayat
lahu se likh nahin sakta to aansuon se likhun
Ghazal
KHala ke dasht se ab rishta apna qata karun
Ghazanfar