KHala ke dasht mein ye turfa majra bhi hai
wo aasman jo sar par tha zer-e-pa bhi hai
hawa ke dosh pe ek surmai lakir ke sath
meri talash mein shayad meri sada bhi hai
Dara hun yun kabhi tanhaiyon ki aahaT se
ki jaise mujh mein koi shai mere siwa bhi hai
bahut aziz hai mujh ko ye barg-e-nau jis mein
zamin ka husn bhi hai shoKHi-e-saba bhi hai
meri jafa-talabi ka KHayal hai us ko
wagarna pyar ka andaz dusra bhi hai
rag-e-hayat mein raqsan meri tawanai
main kaise man lun mere liye fana bhi hai
Ghazal
KHala ke dasht mein ye turfa majra bhi hai
Hasan Akhtar Jaleel