KHair se dil ko teri yaad se kuchh kaam to hai
wasl ki shab na sahi hijr ka hangam to hai
nur-e-aflak se raushan ho shab-e-gham ki na ho
chand taron se mera nama o paigham to hai
kam nahin ai dil-e-betab mata-e-ummid
dast-e-mai-KHwar mein KHali hi sahi jam to hai
baam-e-KHurshid se utre ki na utre koi subh
KHema-e-shab mein bahut der se kohram to hai
jo bhi ilzam mere ishq pe aaya ho 'naim'
un se wabasta kisi taur mera nam to hai
Ghazal
KHair se dil ko teri yaad se kuchh kaam to hai
Hasan Nayeem