KHair auron ne bhi chaha to hai tujh sa hona
ye alag baat ki mumkin nahin aisa hona
dekhta aur na Thaharta to koi baat bhi thi
jis ne dekha hi nahin us se KHafa kya hona
tujh se duri mein bhi KHush rahta hun pahle ki tarah
bas kisi waqt bura lagta hai tanha hona
yun meri yaad mein mahfuz hain tere KHad-o-KHal
jis tarah dil mein kisi shai ki tamanna hona
zindagi marka-e-ruh-o-badan hai 'mushtaq'
ishq ke sath zaruri hai hawas ka hona
Ghazal
KHair auron ne bhi chaha to hai tujh sa hona
Ahmad Mushtaq