KHafa mat ho mujh ko Thikane bahut hain
mera sar rahe aastane bahut hain
bahut dur hai apne nazdik tu bhi
tujhe yaad kafir bahane bahut hain
bahane na kar mujh se ai chashm-e-giryan
abhi ashk mujh ko bahane bahut hain
mere chashm-o-dil aur jigar sab hain hazir
tu KHatir-nishan rakh nishane bahut hain
kashish dil ki hi kaam karti hai warna
fusun sainkaDon hain fasane bahut hain
junun naqd-e-dagh-e-jigar mangta hai
ye kah do ki ab to KHazane bahut hain
bahut kam hai sach is zamane mein 'ehsan'
yahan jhuT ke kar-KHane bahut hain
Ghazal
KHafa mat ho mujhko Thikane bahut hain
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi