KHafa hona zara si baat par talwar ho jaana
magar phir KHud-ba-KHud wo aap ka gulnar ho jaana
kisi din meri ruswai ka ye karan na ban jae
tumhaara shahr se jaana mera bimar ho jaana
wo apna jism sara saunp dena meri aankhon ko
meri paDhne ki koshish aap ka aKHbar ho jaana
kabhi jab aandhiyan chalti hain hum ko yaad aata hai
hawa ka tez chalna aap ka diwar ho jaana
bahut dushwar hai mere liye us ka tasawwur bhi
bahut aasan hai us ke liye dushwar ho jaana
kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai
kahin chalne ki zid karna mera tayyar ho jaana
kahani ka ye hissa ab bhi koi KHwab lagta hai
tera sar par biTha lena mera dastar ho jaana
mohabbat ek na ek din ye hunar tum ko sikha degi
baghawat par utarna aur KHud-muKHtar ho jaana
nazar nichi kiye us ka guzarna pas se mere
zara si der rukna phir saba-raftar ho jaana
Ghazal
KHafa hona zara si baat par talwar ho jaana
Munawwar Rana