KHadshe the sham-e-hijr ke subh-e-KHushi ke sath
tarikiyan bhi pai gain raushni ke sath
jari hai subh-o-sham jafaon ka silsila
kitna hai un ko rabt meri zindagi ke sath
ab dekhna hai mujh ko tere aastan ka zarf
sar ko jhuka raha hun baDi aajizi ke sath
zaKHm-e-jigar khula to tabassum kaha gaya
insaf ho saka na chaman mein kali ke sath
lamhe to zindagi mein mile an-ginat magar
ek lamha bhi guzar na pae KHushi ke sath
waqt-e-sahar hai uTTho kamar tum bhi bandh lo
suraj nikal raha hai nai raushni ke sath
'saqi' har ek ke bas ka nahin kar-e-mai-kashi
aadab-e-mai-kashi bhi hain kuchh mai-kashi ke sath
Ghazal
KHadshe the sham-e-hijr ke subh-e-KHushi ke sath
Aulad Ali Rizvi