khaDkhaData ek patta jab gira ek peD se
sote gahri nind panchhi phaDphaDa kar uD chale
jal-bujhi yaadon ne jab aaankhon mein ek angDai li
adh-jale kaghaz pe pile harf raushan ho gae
bin jab bajne lagi soya madan bhi jag uTha
zahr lahrane laga KHwabon mein har ek sanp ke
lamha lamha TuT kar bahne lagi muddat ki nind
rafta rafta ek haqiqat KHwab jab banne lage
log bazigar bane bazar mein aae magar
khel wo khela ki KHud hi ek tamasha ban gae
kuchh nahin hain hum 'matin' ab yaad-e-rafta ke siwa
aaj se pahle the be-shak aadmi hum kaam ke
Ghazal
KhaDkhaData ek patta jab gira ek peD se
Syed Fazlul Mateen