khaDa tha kab se zamin piTh par uThae hue
aab aadmi hai qayamat se lau lagae hue
ye dasht se umaD aaya hai kis ka sail-e-junun
ki husn-e-shahr khaDa hai naqab uThae hue
ye bhed tere siwa ai KHuda kise malum
azab TuT paDe mujh pe kis ke lae hue
ye sail-e-ab na tha zalzala tha pani ka
bikhar bikhar gae qarye mere basae hue
ajab tazad mein kaTa hai zindagi ka safar
labon pe pyas thi baadal the sar pe chhae hue
sahar hui to koi apne ghar mein ruk na saka
kisi ko yaad na aae diye jalae hue
KHuda ki shan ki munkir hain aadamiyyat ke
KHud apni sukDi hui zat ke satae hue
jo aastin chaDhaen bhi muskuraen bhi
wo log hain mere barson ke aazmae hue
ye inqilab to tamir ke mizaj mein hai
girae jate hain aiwan bane-banae hue
ye aur baat mere bas mein thi na gunj is ki
mujhe to muddaten guzrin ye git gae hue
meri hi god mein kyun kaT ke gir paDe hain 'nadim'
abhi dua ke liye the jo hath uThae hue
Ghazal
KhaDa tha kab se zamin piTh par uThae hue
Ahmad Nadeem Qasmi