khaDa na sun ke sada meri ek yar raha
main rah-rawan-e-adam ko bahut pukar raha
qafas se chhoDe hai ab mujh ko kya tu ai sayyaad
chaman ke bich kahan mausam-e-bahaar raha
pas-az-wafat bhi apni huin na aankhen band
zi-bas ki tere hi aane ka intizar raha
KHuda ke waste ab is se hath uTha ki mere
jigar mein nam nahin ai chashm-e-ashk-bar raha
hua tu ghair se jab ham-kanar mere sath
kahan wo wada raha aur kahan qarar raha
karun jo chaak gareban ko apne hun majbur
ki mere hath mein mera na iKHtiyar raha
na sair-e-lala-o-gul hum ko kuchh nazar aai
ki nok-e-har-mizha par yan dil-figar raha
gali mein us ki gae aur wahan se phir aae
tamam umr yahi apna karobar raha
ghazal ek aur bhi ai 'mushafi' suna de tu
koi kahe na ki banda ummid-war raha
Ghazal
KhaDa na sun ke sada meri ek yar raha
Mushafi Ghulam Hamdani