khaDa juDa gundhi baalon ki choTi
dupaTTa zafrani zard koTi
shikasta dil ke andar tyag ki dhan
phaTi patlun ke niche langoTi
rasile lab wahi bansi ke upar
sajili chhab wahi kali-kaluTi
bichhaD mat yun ki dil tujh ko bhula de
kasak rahne de kuchh to chhoTi-moTi
nahin aise nahin haT chhoD mujh ko
teri niyyat tabiat se bhi khoTi
mere ajdad bhi hamlon mein yakta
mera bachcha bhi khele le ke soTi
ruten lauTin na wo lauTa nagar mein
churane shahd makkhan sag roTi
nasib is ke gagan se bhi kushada
lakiren hath ki sab chhoTi chhoTi
sakhi chimni pe chiDiyon ka wo joDa
kare ek dusre ki tukka boTi
Ghazal
KhaDa juDa gundhi baalon ki choTi
Nasir Shahzad