KHabar nahin thi kisi ko kahan kahan koi hai
har ek taraf se sada aa rahi thi yan koi hai
yahin kahin pe koi shahr bas raha tha abhi
talash kijiye is ka agar nishan koi hai
jawar-e-qariya-e-girya se aa rahi thi sada
mujhe yahan se nikale agar yahan koi hai
talash kar rahe hain qabr se chhupane ko
tere jahan mein hum sa bhi be-aman koi hai
koi to hai jo dinon ko ghuma raha hai 'raza'
pas-e-guman hi sahi par pas-e-jahan koi hai
Ghazal
KHabar nahin thi kisi ko kahan kahan koi hai
Akhtar Razaa Saleemi