KHabar kya thi na milne ke nae asbab kar dega
wo kar ke KHwab ka wada mujhe be-KHwab kar dega
kisi din dekhna wo aa ke meri kisht-e-viran par
uchaTti si nazar Dalega aur shadab kar dega
wo apna haq samajh kar bhul jaega har ek ehsan
phir is rasm-e-ana ko daKHil-e-adab kar dega
na karna zom us ka tarz-e-istidlal aisa hai
ki naqsh-e-sang ko tahrir-e-mauj-e-ab kar dega
asir apne KHayalon ka bana kar ek din 'mohsin'
KHabar kya thi mujhe mere liye kamyab kar dega

Ghazal
KHabar kya thi na milne ke nae asbab kar dega
Mohsin Bhopali