KHabar kahan thi mujhe pahle is KHazane ki
ghamon ne rah dikhai sharab-KHane ki
charagh-e-dil ne ki hasrat jo muskurane ki
to khilkhila ke hansin aandhiyan zamane ki
main shairi ka hunar jaanta nahin be-shak
ajib dhun hai mujhe qafiya milane ki
wajud apna miTaya kisi ki chahat mein
bas itni ram-kahani hai is diwane ki
wo ghonsla bhi bana lega baad mein apna
abhi hai fikr parinde ko aab-o-dane ki
main ashk ban ke gira hun KHud apni nazron se
kahan milegi jagah mujh ko sar chhupane ki
anath bachchon ki aahen sawal karti hain
KHuda ko kya thi zarurat jahan banane ki
Ghazal
KHabar kahan thi mujhe pahle is KHazane ki
Dinesh Kumar