اردو हिंदी
KHabar hai ki aaya gulabon ka mausam | Shaahi Shayari
KHabar hai ki aaya gulabon ka mausam

Ghazal

KHabar hai ki aaya gulabon ka mausam

Saima Naseem bano

;

KHabar hai ki aaya gulabon ka mausam
gulon ke badan par hai kanTon ka mausam

KHuda jaane is rut mein kya gul khilae
gulistan ka joban ye kaliyon ka mausam

labon ki shararat nazar se ishaarat
dam-e-wasl kaisa hayaon ka mausam

ye daur-e-mohabbat bhi kaisa ajab hai
hun aankhon mein baaten ishaaron ka mausam

hawae judai ye kaisi chali phir
ghamon ki faza mein azabon ka mausam

jo pyase hain 'bano' tum un ko sada do
ki sahra mein utra hai chashmon ka mausam