KHatir kare hai jama wo har bar ek tarah
karta hai charKH mujh se nae yar ek tarah
main aur qais o kohkan ab jo zaban pe hain
mare gae hain sab ye gunahgar ek tarah
manzur us ko parde mein hain be-hijabiyan
kis se hua do-chaar wo ayyar ek tarah
sab tarhen us ki apni nazar mein thin kya kahen
par hum bhi ho gae hain giraftar ek tarah
ghar us ke ja ke aate hain pamal ho ke hum
kariye makan hi ab sar-e-bazar ek tarah
gah gul hai gah rang gahe bagh ki hai bu
aata nahin nazar wo tarah-dar ek tarah
nairang husn-e-dost se kar aankhen aashna
mumkin nahin wagarna ho didar ek tarah
sau tarah tarah dekh tabibon ne ye kaha
sehat pazir hue ye bimar ek tarah
so bhi hazar tarah se Thaharawte hain hum
taskin ke liye teri na-chaar ek tarah
bin ji diye ho koi tarah faeda nahin
gar hai to ye hai ai jigar afgar ek tarah
har tarah tu zalil hi rakhta hai 'mir' ko
hota hai aashiqi mein koi KHwar ek tarah
Ghazal
KHatir kare hai jama wo har bar ek tarah
Mir Taqi Mir