KHashak se KHizan mein raha nam bagh ka
warna to har daraKHt pe qabza hai zagh ka
hairat hai sab talash pe us ki rahe musir
paya gaya suragh na jis be-suragh ka
hai irtikaz-e-zat mein waqfa zara si der
TuTa nahin hai rabta lau se charagh ka
kab kis pe mehrban ho aur kab ulaT paDe
kis ko yahan pata hai kisi ke dimagh ka
hota hai phir wo aur kisi yaad ke supurd
rakhta hun jo sambhaal ke lamha faragh ka
mashq-e-suKHan mein dil bhi hamesha se hai sharik
lekin hai is mein kaam ziyaada dimagh ka
Ghazal
KHashak se KHizan mein raha nam bagh ka
Ejaz Gul