khane ko to zahr bhi khaya ja sakta hai
lekin us ko phir samjhaya ja sakta hai
is duniya mein hum jaise bhi rah sakte hain
is daldal par panw jamaya ja sakta hai
sab se pahle dil ke KHali-pan ko bharna
paisa sari umr kamaya ja sakta hai
main ne kaise kaise sadme jhel liye hain
is ka matlab zahr pachaya ja sakta hai
itna itminan hai ab bhi un aankhon mein
ek bahana aur banaya ja sakta hai
jhuT mein shak ki kam gunjaish ho sakti hai
sach ko jab chaho jhuThlaya ja sakta hai
Ghazal
Khane ko to zahr bhi khaya ja sakta hai
Shakeel Jamali