اردو हिंदी
KHana-e-ummid be-nur-o-ziya hone ko hai | Shaahi Shayari
KHana-e-ummid be-nur-o-ziya hone ko hai

Ghazal

KHana-e-ummid be-nur-o-ziya hone ko hai

Shakeel Badayuni

;

KHana-e-ummid be-nur-o-ziya hone ko hai
chashm-e-tar se aaKHiri aansu juda hone ko hai

ye bhi ai dil ek fareb-e-wada-e-farda na ho
rose sunta hun koi mahshar bapa hone ko hai

dur hun lekin bata sakta hun un ki bazm mein
kya hua kya ho raha hai aur kya hone ko hai

khul rahi hai aankh ek kafir hasin ki subh-dam
mai-kasho muzhda dar-e-mai-KHana wa hone ko hai

tark-e-ulfat ko zamana ho gaya lekin 'shakil'
aaj phir mera aur un ka samna hone ko hai