KHana-e-dil ki moattar bhi bahut lagta hai
teri yaadon se munawwar bhi bahut lagta hai
garche halka sa dhundlaka hai tasawwur bhi tera
band aankhon ko ye manzar bhi bahut lagta hai
sochte hain ki jiyenge tujhe ji bhar ke magar
zindagi tujh se hamein Dar bhi bahut lagta hai
puchh hum se ki haqiqat mein hai kya tera wajud
tere shanon pe ye ek sar bhi bahut lagta hai
farq kuchh bhi nahin ehsas-e-tashaKHKHus ke siwa
darmiyan apne ye antar bhi bahut lagta hai
hum qanaat pe guzar karte hain 'aqib' hum ko
kachchi diwaron ka ek ghar bhi bahut lagta hai

Ghazal
KHana-e-dil ki moattar bhi bahut lagta hai
Hasnain Aaqib