KHana-e-dil ka jo tawaif hai
qasd-e-bait-ul-haram se KHaif hai
aaina husn ke sahife ka
lauh-parwaz hai sahaif hai
gul-ruKHon mein latifa-go hain hazar
par wo guldasta-e-zaraif hai
zikr tera ba-rabb-e-kaba sanam
hum ko aurad hai wazaif hai
kya kahun main zarafaten us ki
be-suKHan madin-e-zaraif hai
nashsha-e-hosh se ye kaifiyyat
aalam-e-kaif pur-kawaif hai
ai 'muhib' kijiye dil us ki nazar
yahi tohfa yahi tahaif hai
Ghazal
KHana-e-dil ka jo tawaif hai
Waliullah Muhib