KHamoshiyon ke gahre samundar mein Dub jaen
kho jaen is tarah ki phir apna pata na paen
hai maut ka payam kinaron ki zindagi
masum machhliyon se kaho jal mein na aaen
dasht-e-alam mein barg-e-KHizan-dida ki tarah
bas ai hujum-e-shauq kahin hum bikhar na jaen
viraniyan ki aankhon mein sahra basa hua
majburi-e-hayat na aansu bhi muskuraen
chehre jhulas rahe hain hawadis ki dhup mein
phir bhi alam-nasib hazaron mein jagmagaen
aisa na ho ki dil ka har ek zaKHm aanch de
kah dijiye 'shamim' wo meri ghazal na gaen
Ghazal
KHamoshiyon ke gahre samundar mein Dub jaen
Mukhtar Shameem