KHamoshi KHud apni sada ho ye bhi to ho sakta hai
sannaTa hi gunj raha ho ye bhi to ho sakta hai
mera mazi mujh se bichhaD kar kya jaane kis haal mein hai
meri tarah wo bhi tanha ho ye bhi to ho sakta hai
sahra sahra kab tak main DhunDun ulfat ka ek aalam
aalam aalam ek sahra ho ye bhi to ho sakta hai
ahl-e-tufan soch rahe hain sahil Duba jata hai
KHud un ka dil Dub raha ho ye bhi to ho sakta hai
in madh-mati aankhon par ye jhum ke aana zulfon ka
baada-kashon ko aam sala ho ye bhi to ho sakta hai
yaro mera kya hai kaf-e-qatil ki ranai dekho
KHun hi kyun ho rang-e-hina ho ye bhi to ho sakta hai
sari mahfil mein ek tum se us ko taghaful kyun hai 'zaka'
koi KHas andaz-e-wafa ho ye bhi to ho sakta hai
Ghazal
KHamoshi KHud apni sada ho ye bhi to ho sakta hai
Zaka Siddiqui