KHamoshi bohran-e-sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup
sannaTa tak chiKH raha hai tum bhi chup ho hum bhi chup
tark-e-talluq kar ke zaban se dil ka jina mushkil hai
ye kaisa aahang-e-wafa hai tum bhi chup ho hum bhi chup
dil walon ki KHamoshi hi bar-e-samaat hoti hai
be-awazi karb-e-faza hai tum bhi chup ho hum bhi chup
bhes badalti aawazen hi sham-o-sahar kahlati hai
waqt ka dam kya TuT gaya hai tum bhi chup ho hum bhi chup
sakte tak ab aa pahuncha hai baDhte baDhte karb-e-sukut
honTon par kya waqt paDa hai tum bhi chup ho hum bhi chup
kaisi narmi kaisi saKHti lahje ki kya baat karen
fikr hi ab gham-karda sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup
jab tak rah-e-wafa thi sidhi zor-e-bayan tha aish-e-safar
shayad koi moD aaya hai tum bhi chup ho hum bhi chup
Ghazal
KHamoshi bohran-e-sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup
Parvez Shahidi