KHamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum
gahre samundaron mein safar kar rahe hain hum
sadiyon tak ehtimam-e-shab-e-hijr mein rahe
sadiyon se intizar-e-sahar kar rahe hain hum
zarre ke zaKHm dil pe tawajjoh kiye baghair
darman-e-dard-e-shams-o-qamar kar rahe hain hum
har chand naz-e-husn pe ghaalib na aa sake
kuchh aur marke hain jo sar kar rahe hain hum
subh-e-azal se sham-e-abad tak hai ek din
ye din taDap taDap ke basar kar rahe hain hum
koi pukarta hai har ek hadse ke sath
taKHliq-e-kaenat-e-digar kar rahe hain hum
ai arsa-e-talab ke subuk-sair qaflo
Thahro ki nazm-e-rah-e-guzar kar rahe hain hum
likh likh ke ashk o KHun se hikayat-e-zindagi
aaraish-e-kitab-e-bashar kar rahe hain hum
taKHmina-e-hawadis-e-tufan ke sath sath
batn-e-sadaf mein wazn-e-gohar kar rahe hain hum
hum apni zindagi to basar kar chuke 'rais'
ye kis ki zist hai jo basar kar rahe hain hum
Ghazal
KHamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum
Rais Amrohvi