اردو हिंदी
KHamosh dhaDkanon ki sada ki kise KHabar | Shaahi Shayari
KHamosh dhaDkanon ki sada ki kise KHabar

Ghazal

KHamosh dhaDkanon ki sada ki kise KHabar

Sandeep Koul Nadim

;

KHamosh dhaDkanon ki sada ki kise KHabar
wade bahut kiye the wafa ki kise KHabar

KHwahish gunah hai to gunahgar main bhi hun
hain jurm be-hisab saza ki kise KHabar

kahte hain aadmi mein KHudai ka aks hai
bande hain be-niyaz KHuda ki kise KHabar

sara jahan mariz, maraz bhi hai la-ilaj
pahchane kaun dard dawa ki kise KHabar

shayad sawab tum ko bhi mil jae sab ke sath
sajde mein gir bhi jao dua ki kise KHabar