KHamosh bhi rah jae aur izhaar bhi kar de
taswir wo haziq hai jo bimar bhi kar de
hum se to na hogi kabhi is tarah mohabbat
jo had se guzarne pe gunahgar bhi kar de
is bar bhi tawil-e-shab-o-roz nai hai
mumkin hai wo qail mujhe is bar bhi kar de
aflak-talashi mein hun us burj ki KHatir
jo mere KHazane ko falak par bhi kar de
aahang-e-tasawwur se jo larzish hai ragon mein
us ko mere KHame ka sarokar bhi kar de
wo bait jo masdud mein rauzan ka sabab hain
un ko gul-e-aweza-e-diwar bhi kar de
qirtas pe 'tafzil' rawan jue kali-rang
shayad mere lafzon ko mazedar bhi kar de
Ghazal
KHamosh bhi rah jae aur izhaar bhi kar de
Tafzeel Ahmad