KHamosh andheri raaton mein jab sari duniya suti hai
ek hijr ka mara rota hai aur shabnam aansu dhoti hai
pahle to mohabbat rafta rafta hosh-o-KHirad ko khoti hai
phir yaad kisi ki aa aa kar kanTe se dil mein chubhoti hai
kuchh sochta hun kuchh kahta hun kuchh kahte hain kuchh sunta hun
jab un ke samne hota hun meri ye haalat hoti hai
chaaragar bas ye batla de wo jab mujh se chhu jate hain
kyun jism mein maujen uThti hain kyun nabz mein surat hoti hai
sab kahte hain main diwana hun hain kahta hun sab diwane hain
main duniya-bhar par hansta hun duniya-bhar mujh par roti hai
jab chand ufuq par hota hai aur tare jhilmil karte hain
aankhon mein kisi ki bholi bholi shakl samai hoti hai
ummid se rishta TuT gaya tum kya chhuTe dil chhuT gaya
armanon ki baDhti kheti ko sail-e-yas Duboti hai
dil ek na ek din jaana tha ye din bhi aaKHir aana tha
'talib' tum is ka gham na karo ye chiz parai hoti hai

Ghazal
KHamosh andheri raaton mein jab sari duniya suti hai
Talib Baghpati