KHali nahin hai koi yahan par azab se
duniya se mil ke dekh le apne hisab se
us din andheri galiyon mein hoga tulu-e-din
jis roz dhup chhinoge tum aaftab se
pi lun zara si aag taKHayyul unDel kar
kuchh dhup chhanna hai ghazal ke naqab se
KHushbu ne teri rang-e-kasafat uDa diya
rahat mili hawa ko zara is azab se
dil toDne ka khel nahin tum pe hi tamam
hum bhi chukaenge ye udhaari hisab se
insan se daur-e-nau ne murawwat bhi chhin li
barish ne sar-waraq bhi utara kitab se
dil ka shajar hara tha to patjhaD ka gham na tha
ujDa hai dil to kaun bachae azab se
Ghazal
Khaali nahin hai koi yahan par azab se
Farooq Anjum