KHali KHali raston pe be-karan udasi hai 
jism ke tamashe mein ruh pyasi pyasi hai 
KHwab aur tamanna ka kya hisab rakhna hai 
KHwahishen hain sadiyon ki umr to zara si hai 
rah-o-rasm rakhne ke baad hum ne jaana hai 
wo jo aashnai thi wo to na-shanasi hai 
hum kisi nae din ka intizar karte hain 
din purane suraj ka sham basi basi hai 
dekh kar tumhein koi kis tarah sambhal pae 
sab hawas jage hain aisi bad-hawasi hai 
zaKHm ke chhupane ko hum libas lae the 
shahr bhar ka kahna hai ye to KHun-libasi hai
        Ghazal
Khaali Khaali raston pe be-karan udasi hai
Sarwat Zehra

