KHali baiThe kyun din kaTen aao re ji ek kaam karen
wo to hain raja hum banen parja aur jhuk jhuk ke salam karen
khul paDne mein nakaami hai gum ho kar kuchh kaam karen
des purana bhes bana ho nam badal kar nam karen
donon jahan mein KHidmat teri KHadim ko maKHdum banae
pariyan jis ke panw dabaen huren jis ka kaam karen
hijr ka sannaTa kho degi gahma-gahmi nalon ki
raat akele kyunkar kaTen sab ki nind haram karen
mere bura kahlane se to achchhe ban nahin sakte aap
baiThe-baiThae ye kya sujhi aao use badnam karen
dil ki KHushi paband na nikli rasm-o-riwaj-e-alam ki
phulon par to chain na aae kanTon par aaram karen
aise hi kaam kiya karti hai gardish un ki aankhon ki
sham ko chahe subh bana den subh ko chahe sham karen
la-mahdud faza mein phir kar had koi kya Dalega
puKHta-kar-e-junun hum bhi hain kyun ye KHayal-e-KHam karen
nam-e-wafa se chiDh un ko aur 'arzu' is KHu se majbur
kyunkar aaKHir dil bahlaen kis wahshi ko ram karen
Ghazal
Khaali baiThe kyun din kaTen aao re ji ek kaam karen
Arzoo Lakhnavi