KHal-e-ruKH us ne dikhaya na dobara apna
chande ek aur hai gardish mein sitara apna
dil o din wa KHirad o sabr kuja ku aaram
ghar luTa hum ne diya ishq mein sara apna
boli sayyaad se bulbul ki na kar gul se juda
taKHta-e-bagh hai ye taKHt-e-hazara apna
sair ki hum ne jo kal mahfil-e-KHamoshan ki
na to begana hi bola na pukara apna
misl-e-nai hum ne to fariyaad bahut ki lekin
koi hamdam na hua aah hamara apna
dil hua chah-e-zaqan hi mein ghariq-e-rahmat
is mein ghawwas-e-nazar garche utara apna
khul gaya uqda-e-hasti-o-adam misl-e-habab
lab-e-dariya pe hua jab ki guzara apna
pairahan us ko hua KHilat-e-shahi ki 'nasir'
jis ne ye pairahan-e-KHak utara apna
Ghazal
Khaal-e-ruKH usne dikhaya na dobara apna
Shah Naseer