KHal-e-mashshata bana kajal ka chashm-e-yar par
zagh ko bahr-e-tasadduq rakh sar-e-bimar par
mujh ko rahm aata hai dast-e-nazuk-e-dildar par
main hi rakh dunga gala ai hamdamo talwar par
be-suwaida hath dil mat Dal zulf-e-yar par
mash pahle paDh ke mantar phenk ru-e-yar par
gar hifazat ruKH ki hai manzur to miTwa na KHat
baghban rakhta hai kanTe bagh ki diwar par
kaun kahta hai ki sabza aag par ugta nahin
KHat hai paida yar ke dekho ruKH-e-gulnar par
dekh mizhgan par meri tughyani-e-sail-e-sarishk
nuh ka tufan na dekha howe jis ne KHar par
jis ko dekha hi nahin us ke watan mein qadr-e-KHak
bagh se ho kar juda pahunche hai gul dastar par
haq agar puchho to ejaz-e-sar-e-mansur tha
warna lagna tha tajjub phal ka naKHl-e-dar par
Ghazal
Khaal-e-mashshata bana kajal ka chashm-e-yar par
Shah Naseer