اردو हिंदी
KHaksari thi ki bin dekhe hi hum KHak hue | Shaahi Shayari
KHaksari thi ki bin dekhe hi hum KHak hue

Ghazal

KHaksari thi ki bin dekhe hi hum KHak hue

Ain Tabish

;

KHaksari thi ki bin dekhe hi hum KHak hue
aur kabhi marka-e-fath-o-zafar dekh na pae

us ne dekha hai to phir dekhna kya ho jae
dekhte rahna hai zalim ko idhar dekh na pae

be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aae
dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na pae

ho gae KHwahish-e-nazzara se be-KHud itne
dekhna chahte the us ko magar dekh na pae

kab use lauT ke dekhenge ye dekha jae
hum ne duniya to bahut dekh li ghar dekh na pae

log jab dekhne par aae to itna dekha
aankh pathra gai aur had-e-nazar dekh na pae

wo bhi kya dekhna tha dekhne wale bole
jalwa har-chand raha pesh-e-nazar dekh na pae

dip jalte rahe taqon mein ujala na hua
aankh paband-e-tahayyur thi udhar dekh na pae

ye tayaqqun nahin hota tha kidhar dekh sake
ye tayyun nahin hota tha kidhar dekh na pae

wo taghaful tha ki us ne hamein dekha hi nahin
wo tasahul tha ki hum us ki nazar dekh na pae

is qadar tez chali ab ke hawa-e-na-bud
chah kar shahr-e-tamanna ka khanDar dekh na pae

yun hua dil-zadgan lauT gae aaKHir-e-shab
raat to jag ke kaTi thi sahar dekh na pae

kis ne dekhi hai ujalon se sulagti hui raat
aur jo dekh sake KHwab-e-sahar dekh na pae