KHak-zade KHak mein ya KHak par hain aaj bhi
samne ek kuza-gar ke chaak par hain aaj bhi
ye na jaana kis taraf se aai chingari magar
tohmaten sari KHas-o-KHashak par hain aaj bhi
jis takabbur ki badaulat chhin gae un ke huquq
is ke asraat-e-raunat nak par hain aaj bhi
main ne ratti-bhar nizam-e-fikr ko badla nahin
munhasir afkar sab idrak par hain aaj bhi
jo azal se hain safir uryaniyat ke un ke bhi
zawiye sab soch ke poshak par hain aaj bhi
mera chehra jaisa tha waisa dikhaya ai 'zamir'
sab yaqin aaina-e-be-bak par hain aaj bhi
Ghazal
KHak-zade KHak mein ya KHak par hain aaj bhi
Zameer Atraulvi