KHak ya kahkashan se uThta hai 
dard aaKHir kahan se uThta hai 
hai ajab ja-e-amn qarya-e-dil 
hashr sara jahan se uThta hai 
dekh ai aah-e-sakinan-e-zamin 
ek ghubar aasman se uThta hai 
pahle ye KHar-o-KHas jalata tha 
shoala ab gulsitan se uThta hai 
masala KHatir-e-pareshan ka 
KHwahish-e-raegan se uThta hai 
ek KHala hai jo pur nahin hota 
jab koi darmiyan se uThta hai 
shahkar-e-suKHan hai misra-e-'mir' 
kab ye tujh na-tawan se uThta hai
        Ghazal
KHak ya kahkashan se uThta hai
Syed Amin Ashraf

