KHak uDti hai KHaridar kahan kho gae hain
jin se thi raunaq-e-bazar kahan kho gae hain
sab ki peshaniyan sajdon se munawwar hain yahan
ai KHuda tere gunahgar kahan kho gae hain
sar-nigun baiThe hain sab zill-e-ilahi ke huzur
kya hue sahib-e-dastar kahan kho gae hain
jin ke daman mein duaon ke KHazane the bahut
wo saKHawat ke alam-dar kahan kho gae hain
aisa ehsas-e-ziyan to kabhi guzra hi na tha
dost kya hue aghyar kahan kho gae hain
DhunDhti phirti hai pagal ki tarah sham-e-awadh
lucknow tere trahdar kahan kho gae hain
KHana-e-jaan mein andhera hi andhera hai tamam
wo farozan dar-o-diwar kahan kho gae hain
manzilen jin ki qadam-bosi pe nazan thin bahut
wo jari qafila-salar kahan kho gae hain
DhunDta phirta hun darwesh o qalandar 'aKHtar'
sab ke sab aaina-kirdar kahan kho gae hain
Ghazal
KHak uDti hai KHaridar kahan kho gae hain
Sultan Akhtar