KHak to hum bhi har ek dasht ki chhane hue hain
kuchh naya karne ki koshish mein purane hue hain
sabz mausam ka pata jin se mila karta tha
tira-baKHton ke wahi shahr Thikane hue hain
KHana-e-dil mein abhi tak hain wahi log aabaad
jin ko ojhal hue aankhon se zamane hue hain
tir shaKHon mein hain paiwast parindon mein nahin
kis shikari ke KHata itne nishane hue hain
aab-o-gil hi ka karishma lab-o-ruKHsar bhi hain
aisi kya baat hai kyun aap diwane hue hain
rose mat mangiye miTTi ki mohabbat ka subut
hum to ye jism usi KHak ka chhane hue hain
sher bhi likhta hun aur ghar bhi chalata hun janab
kab kisi bojh ke shaki mere shane hue hain
Ghazal
KHak to hum bhi har ek dasht ki chhane hue hain
Asad Badayuni