KHak the kahkashan ke the hi nahin
hum kisi aasman ke the hi nahin
us ne aisa kiya nazar-andaz
jaise hum dastan ke the hi nahin
tum ne jo bhi sawal hum se kiye
wo sawal imtihan ke the hi nahin
chhoD kar jo chale gae us ko
han wo hindostan ke the hi nahin
itni jaldi jo bhar gae hain zaKHm
jism ke the ye jaan ke the hi nahin
sher dil mein utar nahin pae
kyunki dil ki zaban ke the hi nahin
masala tha to bas ana ka tha
fasle darmiyan ke the hi nahin

Ghazal
KHak the kahkashan ke the hi nahin
Zia Zameer