KHak the ghuncha-lab aur KHwab thi lahje ki khanak
jhaD gaya qabr mein jab husn-e-sarapa ka namak
wo jin aankhon mein thi barsat ke manzar ki jhalak
ab un aankhon mein safedi na siyahi na dhanak
wo surahi si jo gardan ki hai TuTi-phuTi
wo kamar hi na rahi jis mein ki paida ho lachak
qabr ki KHak hi ghaza hai wahi zinat hai
wan na afshan na hi surKHi na hi jhumar na tilak

Ghazal
KHak the ghuncha-lab aur KHwab thi lahje ki khanak
Khalid Iqbal Taib