KHak se KHwab talak ek si virani hai
mere andar mere bahar ki bayabani hai
koi manzar kahin maujud hai pas-manzar mein
warna kya chiz hai jo bais-e-hairani hai
kah ke dekhenge ba-har-taur magar pahle bhi
dil-e-KHud-sar ne koi baat kahan mani hai
kise malum hai rukna ki guzar jaana hai
sham hai Thahri hui bahta hua pani hai
dekh ye dil jo kabhi had se guzar jata tha
dekh dariya mein koi shor na tughyani hai
Ghazal
KHak se KHwab talak ek si virani hai
Akram Mahmud