KHak o KHun ki wusaton se ba-KHabar karti hui
ek nazar imkan-hazar-imkan safar karti hui
ek ajab bechain manzar aankh mein Dhalta hua
ek KHalish saffak si sine mein ghar karti hui
ek kitab-e-sad-hunar tashrih-e-zail ka shikar
ek mohmal baat jadu ka asar karti hui
jism aur ek nim-poshida hawas-amadgi
aankh aur sair-e-libas-e-muKHtasar karti hui
tishnagi ka zahr sine ko siyah karta hua
ek talab apne nashe ko tez-tar karti hui
wo nigah apne liye hai sad-hisab-e-arzu
aur mujhe begana-e-naf-o-zarar karti hui
Ghazal
KHak o KHun ki wusaton se ba-KHabar karti hui
Rajinder Manchanda Bani