KHak mein milti hain kaise bastiyan malum ho
aane walon ko hamari dastan malum ho
jo idhar ka ab nahin hai wo kidhar ka ho gaya
jo yahan madum ho jae kahan malum ho
marhala tasKHir karne ka ise aasan hai
gar tujhe apna badan sara jahan malum ho
jo alag ho kar chale sab ghumte hain us ke gird
yun juda ho kar guzar ki darmiyan malum ho
kitni majburi hai la-mahdud aur mahdud ki
be-karan jab ho saken tab be-karan malum ho
ek dam ho raushni to kya nazar aae 'malal'
kya samajh paun jo sab kuchh na-gahan malum ho
Ghazal
KHak mein milti hain kaise bastiyan malum ho
Sagheer Malal