اردو हिंदी
KHak kar Dalen abhi chahen to mai-KHane ko hum | Shaahi Shayari
KHak kar Dalen abhi chahen to mai-KHane ko hum

Ghazal

KHak kar Dalen abhi chahen to mai-KHane ko hum

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

KHak kar Dalen abhi chahen to mai-KHane ko hum
ek saghar ko bharo tum ek paimane ko hum

mujh se ham-aghosh ho kar yun kaha aur sach kaha
hoshiyar is tarah kar dete hain diwane ko hum

naza mein aae hain sad afsos jite-ji na aae
wo hain aane ko to ab tayyar hain jaane ko hum

be-natija un pe marna yaad aata hai hamein
shama par jab dekhte hain marte parwane ko hum

kohkan aur qais ki qabron se aati hai sada
kya mukammal kar gae ulfat ke afsane ko hum

ek patta bhi nahin hilta ba-juz hukm-e-KHuda
kis tarah aabaad kar len apne virane ko hum

ek din ye hai ki hain ek shama-ru par KHud nisar
ek din wo tha bura kahte the parwane ko hum

abruon ne sach kaha us ke ishaare ki hai der
dekhte bilkul nahin phir apne begane ko hum

jaan jae ya rahe us ko sunaenge zarur
qais ke parda mein 'parwin' apne afsane ko hum