KHak jina hai agar maut se Darna hai yahi
hawas-e-zist ho is darja to marna hai yahi
qulzum-e-ishq mein hain nafa o salamat donon
is mein Dube bhi to kya par utarna hai yahi
qaid-e-gesu se bhala kaun rahega aazad
teri zulfon ka jo shanon pe bikharna hai yahi
ai ajal tujh se bhi kya KHak rahegi ummid
wada kar ke jo tera roz mukarna hai yahi
aur kis waza ke juya hain urusan-e-bahisht
hain kafan surKH shahidon ka sanwarna hai yahi
had hai pasti ki ki pasti ko bulandi jaana
ab bhi ehsas ho is ka to ubharna hai yahi
tujh se kya subh talak sath nibhega ai umr
shab-e-furqat ki jo ghaDiyon ka guzarna hai yahi
ho na mayus ki hai fath ki taqrib shikast
qalb-e-momin ka meri jaan nikharna hai yahi
naqd-e-jaan nazr karo sochte kya ho 'jauhar'
kaam karne ka yahi hai tumhein karna hai yahi
Ghazal
KHak jina hai agar maut se Darna hai yahi
Mohammad Ali Jauhar