KHak hoti hui hasti se uTha
ishq ka bojh bhi miTTi se uTha
hijr tha bar-e-amanat ki tarah
so ye gham aaKHiri hichki se uTha
lau tere baad baDhi ashkon ki
shoala-e-ishq bhi pani se uTha
dil ne aabaad kiya ishq-abaad
KHak ho kar usi basti se uTha
dil usi dard ki zulfon ka asir
hae wo dard jo pasli se uTha
ya mujhe qaid-e-anasir se nikal
ya meri KHak ko pasti se uTha
aaKHiri waqt mein har ranj ka bojh
KHam-shuda riDh ki haDDi se uTha
is se pahle ki mera nam aa jae
mujhe is Dolti kashti se uTha
Ghazal
KHak hoti hui hasti se uTha
Tauqeer Taqi