KHak ho kar bhi kab miTunga main
phul ban kar yahin khilunga main
tujh ko aawaz bhi main kyun dunga
tera rasta bhi kyun takunga main
ek purane se zaKHm par ab ke
koi marham naya rakhunga main
gher lengi ye titliyan mujh ko
KHushbuen jiyun riha karunga main
KHud se bahar to kam nikalta hun
ji mein aaya to phir milunga main
warna jina muhaal kar dega
dard ko ab ghazal karunga main
dhukdhuki si lagi hai kyun ji ko
itni jaldi kahan marunga main
sansen deti rahin jo chingari
ek jangal sa jal uThunga main
thak gaya hun main is jazire par
phir samundar ka ruKH karunga main
ruh ka ye libas badlunga
bhes duja koi dharunga main
Ghazal
KHak ho kar bhi kab miTunga main
Alok Mishra