KHak hai mera badan KHak hi us ka hoga
donon mil jaen to kya zor ka sahra hoga
phir mera jism meri jaan se juda hai dekho
tum ne Tanka jo lagaya tha wo kachcha hoga
tum ko rone se bahut saf hui hain aankhen
jo bhi ab samne aaega wo achchha hoga
roz ye soch ke sota hun ki is raat ke baad
ab agar aankh khulegi to sawera hoga
kya badan hai ki Thaharta hi nahin aankhon mein
bas yahi dekhta rahta hun ki ab kya hoga
Ghazal
KHak hai mera badan KHak hi us ka hoga
Farhat Ehsas