KHak-e-dil kahkashan se milti hai
ye zamin aasman se milti hai
hath aati nahin kabhi duniya
aur kabhi har dukan se milti hai
hum ko aksar gunah ki taufiq
hujjat-e-qudsiyan se milti hai
dil ko iman jaanne wale
daulat-e-dil kahan se milti hai
mawara-e-suKHan hai jo tauqir
ek kaDe imtihan se milti hai
intiha ye ki meri hadd-e-safar
manzil-e-gumrahan se milti hai
har sitara lahuluhan mera
ye jabin aasman se milti hai
kunj-e-gul ki KHabar dariche ko
ab to baad-e-KHizan se milti hai
sahl 'shahin' ye hunar to nahin
shairi naqd-e-jaan se milti hai
Ghazal
KHak-e-dil kahkashan se milti hai
Shaheen Gazipuri